اردو हिंदी
Gar ishq se waqif mare mahbub na hota | Shaahi Shayari
gar ishq se waqif mare mahbub na hota

Ghazal

Gar ishq se waqif mare mahbub na hota

Hasrat Azimabadi

;

gar ishq se waqif mare mahbub na hota
hota na main mahjur wo mahjub na hota

aafat-talab apne jo dil o dida na hote
talib main tera tu mera matlub na hota

meri si tarah ishq se hota kabhi betab
eajaz-numa sabr ka ayyub na hota

name ka mere ye tha jawab ai mah-e-nau-KHat
ye qaeda-e-qasid-o-maktub na hota

targhib-e-wafa karna tujhe mujh pe rawa tha
gar shewa jafa ka tera marghub na hota

'hasrat' na agar us ka qad o zulf banate
duniya mein kahin fitna-o-ashob na hota