gar hun mansur to suli pe chaDha de mujh ko
aur hun suqraat to la zahr pila de mujh ko
wasl ka gul na sahi hijr ka kanTa hi sahi
kuchh na kuchh to meri wahshat ka sila de mujh ko
kab talak aur jalun aag mein tanhai ki
zindagi ab yahi behtar hai bujha de mujh ko
thartharaati hui palkon pe sajaane wale
ashk-e-be-kar ki manind gira de mujh ko
Ghazal
Gar hun mansur to suli pe chaDha de mujhko
Marghoob Ali