اردو हिंदी
Gar ho na KHafa to kah dun ji ki | Shaahi Shayari
gar ho na KHafa to kah dun ji ki

Ghazal

Gar ho na KHafa to kah dun ji ki

Meer Kallu Arsh

;

gar ho na KHafa to kah dun ji ki
is dam tumhein yaad hai kisi ki

jo samne ho kahe usi ki
munh dekhi hai baat aarsi ki

phulon ka kabhi na haar pahna
baddhi jo paDi teri chhaDi ki

gul-gir ne kaT kar sar-e-shama
parwane se shab kaTi jali ki

tasbih mein bhi ho tar-e-zunnar
KHatir na shikasta kar kisi ki

aaya shab-e-mah mein wo jo ta-farsh
chadar hui gard chandni ki

sayyaad kabhi tu zabh kar Dal
muD jaegi baD kya chhuri ki

aaina barq mein hai lazim
taswir khinche teri hansi ki

tartib-e-kuhan ki waza ai 'arsh'
hum ne diwan mein nai ki