اردو हिंदी
Gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-wahshat hai | Shaahi Shayari
gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-wahshat hai

Ghazal

Gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-wahshat hai

Azhar Hashmi

;

gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-wahshat hai
to phir dayar-e-mohabbat dayar-e-wahshat hai

daraaz ho rahe imkan bhi ab ibaadat ke
hisar-e-bandagi goya hisar-e-wahshat hai

har ek shaKHs hai taswir-e-kaamran KHud mein
ana ki aab-e-hawa mein KHumar-e-wahshat hai

dawam paega ek rose haq zamane mein
ye intizar nahin intizar-e-wahshat hai

gulon mein husn nahin aur chaman bhi aazurda
mere qarib huwaida bahaar-e-wahshat hai

abhi na puchhiye haal-e-gham-e-dil-e-'azhar'
abhi nazar mein muqaddam ghubar-e-wahshat hai