gar ek shab bhi wasl ki lazzat na pae dil
phir kis umid par koi tum se lagae dil
ek dil tujhe mudam satane ko chahiye
tere liye kahan se koi rose lae dil
utra na aa ke yan koi juz karwan-e-gham
mehman-sara se kam nahin yaro sara-e-dil
kuche se apne hum ko uThata hai kis liye
baiThen hain hum jahan se apna uThae dil
kahte hain dardmand 'taraqqi' ka haal dekh
ya rab kabhi kisi pe kisi ka na aae dil
Ghazal
Gar ek shab bhi wasl ki lazzat na pae dil
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi