اردو हिंदी
Gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare | Shaahi Shayari
gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare

Ghazal

Gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare

Meer Mohammadi Bedar

;

gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare
ajab nahin ki gada par karam jo shah kare

dikhawe aaina kis munh se us ko munh apna
ki aaftab ko jun sham-e-subh-gah kare

muqabil aate hi yun khinch le hai dil wo shoKH
ki jaise kah-ruba jazb barg kah kare

hawas-o-hosh ko chhoD aap dil gaya us pas
jab ahl-e-fauj hi mil jaen kya sipah kare

sitam-shiar wafa-dushman aashna-bezar
kaho to aise se kyunkar koi nibah kare

kai taDapte hain aashiq kai sisakte hain
is aarzu mein ki wo sang-dil nigah kare

mohabbat aise ki 'bedar' saKHt mushkil hai
jo apni jaan se guzre wo us ki chah kare