gar dosto tum ne use dekha nahin hota
kahne ka tumhaare mujhe shikwa nahin hota
gar kahiye ki ji milne ko tera nahin hota
kahta hai ki han han nahin hota nahin hota
qasid ke bhi gar aane ki ummid na hoti
ek dam bhi to jine ka bharosa nahin hota
yunhi sahi hum hijr mein mar jate bala se
bas aur to kuchh is se ziyaada nahin hota
kyun kahte ho tum mujh se ki aana nahin manzur
ye kis liye kahte ho ki aana nahin hota
go ghair burai se karen zikr hamara
itna bhi to wan zikr hamara nahin hota
lab tak bhi kabhi harf-e-tamanna nahin aaya
aisa koi mahrum-e-tamanna nahin hota
bimari-e-hijran se to marna hi bhala tha
achchha jo main hota to kuchh achchha nahin hota
gar ghair se kuchh tum ko mohabbat nahin hoti
to hum ko ye rashk-e-qalaq-afza nahin hota
ye sach hai ki tum aaoge par dil ko karun kya
kahne ka yaqin aap ke asla nahin hota
hota hai wo sab kuchh jo suna ho kabhi tum ne
ek tere na hone se yahan kya nahin hota
ab samjhe ki yun hum ko bulate na kabhi tum
gar aap ki mahfil ka ye naqsha nahin hota
go jhuT ho dhoka ho tasalli to hai dil ko
hota hai qalaq aur jo wada nahin hota
maqbul tamanna to 'nizam' apni kahan ho
maqbul wahan uzr-e-tamanna nahin hota
Ghazal
Gar dosto tumne use dekha nahin hota
Nizam Rampuri