gar dil mein kar ke sair-e-dil-e-dagh-dar dekh
ai jaan KHana-e-bagh ki aa kar bahaar dekh
pachhtaega jo hath se tu khoega hamein
hum tujh se saf kahte hain o bad-shiar dekh
main kya wahan pe gor tujhe de abhi jawab
turbat pe meri aa ke zara tu pukar dekh
bahar hon apne jame se gul bulbulen to kya
gulshan mein imtihan ko poshak utar dekh
ab mujh mein tujh mein ek sar-e-mu nahin hai farq
mu-e-miyan mila ke mera jism-e-zar dekh
baad-e-fana bhi wa rahin aankhen to aaya tu
wada-KHilafi apni mera intizar dekh
hai nur-e-husn mane-e-didar-e-ru-e-yar
aankhen ye kah rahi hain use bar bar dekh
tu tegh-e-tez khinche hai main sar jhukae hun
apne sitam ko dekh mera inkisar dekh
darpai hue hain jaan ke iman to le chuke
but karte hain sitam mere parwardigar dekh
panjon ke bal zamin pe na chal bankpan ko chhoD
manind-e-naqsh-e-pa hai ye na-paedar dekh
dikhla de minh barasne mein bijli ka kaundna
hans hans ke jaanib-e-miza-e-ashk-bar dekh
kotah umr ho gai aur ye na kam hui
ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizar dekh
bad-waza hum ko kah ke bana nek tu che KHush
atwar apne dekh hamara shiar dekh
bijli girai ghair siyah-ru par ai 'qalaq'
tasir-e-garm aah-e-dil-e-be-qarar dekh
Ghazal
Gar dil mein kar ke sair-e-dil-e-dagh-dar dekh
Arshad Ali Khan Qalaq