اردو हिंदी
Gar dar-e-harf-e-sadaqat ye nahin tha phir kyun | Shaahi Shayari
gar dar-e-harf-e-sadaqat ye nahin tha phir kyun

Ghazal

Gar dar-e-harf-e-sadaqat ye nahin tha phir kyun

Sharib Mauranwi

;

gar dar-e-harf-e-sadaqat ye nahin tha phir kyun
tum ne tala mere honTon pe lagaya phir kyun

lab pe lafzon ke kanwal tum ne sajae the agar
to takallum ke jaziron se kinara phir kyun

mana qaidi se hukumat na Daregi lekin
sha-rahon pe salasil ka tamasha phir kyun

chiKH uTThoge jo dekhin meri banjar aankhen
shauq itna tha to dariya ko utara phir kyun

tum agar morid-e-ilzam nahin the to tumhein
us adalat ne gunahgar banaya phir kyun

maslahat koi to darpesh thi 'shaarib' warna
us ne taswir par ye rang ubhaara phir kyun