اردو हिंदी
Gar baDe mard ho to ghair ko yan ja dije | Shaahi Shayari
gar baDe mard ho to ghair ko yan ja dije

Ghazal

Gar baDe mard ho to ghair ko yan ja dije

Meer Mohammadi Bedar

;

gar baDe mard ho to ghair ko yan ja dije
us ko kah dekhiye kuchh ya mujhe uThwa dije

kaun aisa hai jo chheDe hai tumhein rah ke bich
main samajh lunga Tuk us ko mujhe batla dije

dil o jaan o KHirad o din pahle hi din de baiThe
aaj hairan hun ki aata hai use kya dije

kya hua haal bhala dekh to mujh be-dil ka
na kabhi dilbari kije na dilasa dije

dawa-e-rustami karte to hain par ek dam mein
chhin lun tegh-o-sipar un ki jo farma dije

gum hua hai abhi yan gauhar-e-dil ai KHuban
hath lag jawe tumhaare to mujhe pa dije

bewafa dushman-e-mehr aafat-e-jaan sangin-dil
haif 'bedar' ki aise ko dil apna dije