gar aur bhi meri turbat pe yar Thahrega
to zer-e-KHak na ye be-qarar Thahrega
na bolo koi mere jhagDe mein samajh lunga
mere aur us ke jo dar-o-madar Thahrega
agar ye hai tere daman ki hashr-o-nashr miyan
zamin pe KHak hamara ghubar Thahrega
chali bhi ja jaras-e-ghuncha ki sada pe nasim
kahin to qafila-e-nau-bahaar Thahrega
tumhaare nawak-e-mizhgan ke samne KHuban
kahan talak ye dil-e-daghdar Thahrega
yahi hai luT to shane ke hath se pyare
na ek bhi teri zulfon ka tar Thahrega
tumhaare wadon pe hum ko to ab nahin Thahraw
magar naya koi ummid-war Thahrega
jo sair karni hai kar le ki jab KHizan aai
na gul rahega chaman mein na KHar Thahrega
KHadang-KHurda dil aage se us ke jata hai
KHabar nahin ki kahan ye shikar Thahrega
shitab aaiyo Thahra rakhenge hum us ko
jo jaan labon pe shab-e-intizar Thahrega
use na dafn karo samjho to koi yaro
zamin mein 'mushafi'-e-be-qarar Thahrega
Ghazal
Gar aur bhi meri turbat pe yar Thahrega
Mushafi Ghulam Hamdani

