gar apne aap mein insan baDhta ja raha hai
to phir kyun is qadar bohran baDhta ja raha hai
simaTta ja raha hai daera malik makan ka
makan par qabza-e-mehman baDhta ja raha hai
mujhe lagta hai sahra ki taraf jaana paDega
dar-o-diwar ka ehsan baDhta ja raha hai
bahut din ho gae roya na apne haal pe shahr
dilon mein KHitta-e-viran baDhta ja raha hai
bahut sa husn pahli bar dekha hai kisi ne
tu us ki hi taraf hairan baDhta ja raha hai
badan KHali karo aur kashti-e-jaan ko bachao
KHatarnaki ka ye saman baDhta ja raha hai
numu karna suna hai jaan-daron ki sifat hai
magar ye shahr to be-jaan baDhta ja raha hai
na jaane kitne bhukon ki kifalat ho rahi hai
hawas-kari ka dastar-KHwan baDhta ja raha hai
miyan 'ehsas-ji' kuchh shairi bhi karte rahiye
ye mana aap ka diwan baDhta ja raha hai
Ghazal
Gar apne aap mein insan baDhta ja raha hai
Farhat Ehsas

