gar aish se ishrat mein kaTi raat to phir kya
aur gham mein basar ho gai auqat to phir kya
jab aai ajal phir koi DhunDa bhi na paya
qisson mein rahe harf-o-hikayat to phir kya
had bos-o-kanar aur jo tha us ke siwa aah
gar wo bhi mayassar hua haihat to phir kya
do din agar in aankhon ne duniya mein meri jaan
ki naz-o-adaon ki ishaaraat to phir kya
phir uD gai ek aan mein sab hashmat o sab shan
le sharq se ta gharb laga hat to phir kya
asp o shutur o fil o KHar o naubat o lashkar
gar qabr talak apne chala sat to phir kya
jab aai ajal phir wahin uTh bhage shitabi
rindon mein hue ahl-e-KHarabaat to phir kya
do din ko jo tawiz o fatila o amal se
tasKHir kiya aalam-e-jinnat to phir kya
is umr-e-do-roza mein agar ho ke nujumi
sab chhan liye arz o samawat to phir kya
ek dam mein hawa ho gae sab amali o nazari
the yaad jo asbab o alamat to phir kya
us ne koi din baiTh ke aaram se khaya
wo mangta dar dar phira KHairaat to phir kya
daulat hi ka milna hai baDi chiz 'nazir' aah
bil-farz hui us se mulaqat to phir kya
aaKHir ko jo dekha to hue KHak ki Dheri
do din ki hui kashf-o-karamat to phir kya
jab aai ajal ek riyazat na gai pesh
mar mar ke jo ki koshish o taat to phir kya
jab aai ajal aah to ek dam mein gae mar
gar ye bhi hui hum mein karamat to phir kya
Ghazal
Gar aish se ishrat mein kaTi raat to phir kya
Nazeer Akbarabadi