gar abr ghira hua khaDa hai
aansu bhi tula hua khaDa hai
hairan hai kis ka jo samundar
muddat se ruka hua khaDa hai
hai mausam-e-gul chaman mein har naKHl
phulon se lada hua khaDa hai
shamshad barabar us ke qad ke
dahshat se bacha hua khaDa hai
hai chaak kisi ka jaib o daman
koi KHasta luTa hua khaDa hai
tu aa ke to dekh dar pe tere
kya sang bana hua khaDa hai
KHalwat ho kabhu to yun kahe wo
koi dar se laga hua khaDa hai
main KHair hai gar kahun to bole
wo dekh chhupa hua khaDa hai
KHunin kafan-e-shahid-e-ulfat
dulha sa bana hua khaDa hai
tera hi hai intizar us ko
naqa to kasa hua khaDa hai
ai jaan nikal ki 'mushafi' ka
asbab lada hua khaDa hai
Ghazal
Gar abr ghira hua khaDa hai
Mushafi Ghulam Hamdani

