ghanimat hai kisi ke sar nahin hun
abhi tak ghar se main be-ghar nahin hun
abhi diwar se guzra to jaana
main apne jism ke andar nahin hun
ye achchhi baat hai tum samne ho
main yani KHwab se bahar nahin hun
main chaaron or se hun band kamra
faqat diwar hun main dar nahin hun
agar hota to KHud ko phir banata
magar afsos kuza-gar nahin hun
samundar sukh jaane par mila hun
magar malwa hun bas gauhar nahin hun
main sukha dasht hun aur dasht aisa
kisi bhi jaanwar ka ghar nahin hun
Ghazal
Ghanimat hai kisi ke sar nahin hun
Nivesh Sahu