ghanimat hai hans kar agar baat ki
yahan kis ne kis ki mudaraat ki
ghuTan kyun na mahsus ho shahr mein
hawa chal paDi hai mazafat ki
nazar us ko main aata hun Thik-Thak
use kya KHabar mere haalat ki
hamin aaj haq se bhi mahrum hain
hamin par thi barish muraat ki
muqaddar to mera sanwaroge kya!
lakiren miTa do mere hat ki
ziyan hi ziyan hai faqat nafi mein
koi aur surat kar isbaat ki
mukammal nahin yun to koi wajud
kami mujh mein hai kaun si baat ki
Ghazal
Ghanimat hai hans kar agar baat ki
Rashid Mufti