ghanim se bhi adawat mein had nahin mangi
ki haar man li lekin madad nahin mangi
hazar shukr ki hum ahl-e-harf-e-zinda ne
mujaviran-e-adab se sanad nahin mangi
bahut hai lamha-e-maujud ka sharaf bhi mujhe
so apne fan se baqa-e-abad nahin mangi
qubul wo jise karta wo iltija nahin ki
dua jo wo na kare mustarad nahin mangi
main apne jama-e-sad-chaak se bahut KHush hun
kabhi aba-o-qaba-e-KHirad nahin mangi
shahid jism salamat uThae jate hain
jabhi to gor-kanon se lahad nahin mangi
main sar-barahna raha phir bhi sar-kashida raha
kabhi kulah se tauqir-e-qad nahin mangi
ata-e-dard mein wo bhi nahin tha dil ka gharib
'faraaz' main ne bhi baKHshish mein had nahin mangi
Ghazal
Ghanim se bhi adawat mein had nahin mangi
Ahmad Faraz