اردو हिंदी
Ghamza-e-chashm sharmsar kahan | Shaahi Shayari
ghamza-e-chashm sharmsar kahan

Ghazal

Ghamza-e-chashm sharmsar kahan

Meer Soz

;

ghamza-e-chashm sharmsar kahan
sar to hazir hai tegh-e-yar kahan

gul bhi karta hai chaak apna jaib
par gareban sa tar tar kahan

ho ghazalon ko us se ham-chashmi
tikhi chitwan kahan KHumar kahan

andalibon ne gul ko gher liya
ek jewDa kahan hazar kahan

ek din ek shaKHs ne puchha
mir sahab tumhaara yar kahan

main ne us se kaha ki sun bhai
ab mujhe us talak hai bar kahan

gah-gahe salam karta hai
par wo baaten kahan wo pyar kahan

zindagi tak sitam to sah le 'soz'
phir to ye zulm bar bar kahan