ghamon se rishta hai apna bhi dosti ki tarah
mile hain ashk bhi hum ko yahan hansi ki tarah
karam ki zahmat-e-be-ja ka shukriya lekin
tumhaare dard ko chaha hai zindagi ki tarah
main apna dard liye ab kahan kahan jaun
mujhe rafiq bhi milte hain ajnabi ki tarah
sharif log bhi hote hain maslahat ka shikar
ujale aaj bhi milte hain tirgi ki tarah
ye kis ne shamen jalai hain apni yaadon ki
andhere ghar mein hai ye kaun raushni ki tarah
kisi KHayal mein akasr shagufta rahta hun
koi KHayal hai phulon ki tazgi ki tarah
ye aur baat ki ab main 'rais'-e-mahfil hun
gharib-e-shahr kabhi tha mein aap hi ki tarah
Ghazal
Ghamon se rishta hai apna bhi dosti ki tarah
Raees Akhtar