ghamon ne is tarah ghera kabhi nahin hoga
ye lag raha tha sawera kabhi nahin hoga
unhen ka zikr hai din raat un ki baaten hain
tumhaara dil hai ye mera kabhi nahin hoga
tamam daulat-e-kaun-o-makan mile to kya
to jis ka ho gaya, tera kabhi nahin hoga
hamari san lo hamein dekh lo ki phir shayad
idhar faqir ka phera kabhi nahin hoga
diya hai apna lahu is qadar charaghon ko
hamare baad andhera kabhi nahin hoga

Ghazal
Ghamon ne is tarah ghera kabhi nahin hoga
Mushtaq Naqvi