ghamon mein Dubi hui hai har ek KHushi meri
ajib taur se guzri hai zindagi meri
har ek lamha guzarta hai hadse ki tarah
bas ek dard-e-musalsal hai zindagi meri
KHayal-o-fikr ne kya kya sanam tarashe the
tamam umr parastish mein kaT gai meri
mera safina-e-hasti hai aur mauj-e-bala
tamasha dekhti rahti hai bebasi meri
hujum-e-dard mein gum ho gai meri aawaz
zamane walon ne rudad kab suni meri
meri hayat adhuri rahi tumhaare baghair
batao tum ne bhi mahsus ki kami meri
gham-e-hayat ki rudad thi magar 'mumtaz'
samajh liya use logon ne shairi meri
Ghazal
Ghamon mein Dubi hui hai har ek KHushi meri
Mumtaz Mirza