ghamon ki raat hai aur itni muKHtasar bhi nahin
bahut dinon se tumhaari koi KHabar bhi nahin
ai shahr-e-dil teri galiyon mein KHak uDti hai
ye kya hua ki yahan koi nauhagar bhi nahin
tu mere sath nahin hai to sochta hun main
ki ab to tujh se bichhaDne ka koi Dar bhi nahin
main apna dard kisi aur se kahun kaise
mere badan pe koi zaKHm-e-mo'atabar bhi nahin
chalao tegh ki ab is mein sochna kya hai
mere harif mere hath mein sipar bhi nahin
hain teri fath mein ab bhi shikast ke imkan
meri shikast mein andesha-e-zafar bhi nahin
jo washgaf kare mere ramz ko 'shahid'
suKHan-waron mein koi aisa dida-war bhi nahin
Ghazal
Ghamon ki raat hai aur itni muKHtasar bhi nahin
Shahid Kamal