ghamon ki oDhni oDhe khaDe hain zindagani mein
nikale piDa ka ghunghaT sada apni kahani mein
sukun katra nahin barsa sada taDpe sada tarse
usi bad-haal manzar ne laga di aag pani mein
mere kandhe mere yaron mere sadmon ne toDe hain
uThae phir rahe the bojh gham ka shadmani mein
musafir har koi hota hai is rah-e-mohabbat ka
kabhi hum bhi the diwane isi dilkash rawani mein
nahin shikwa andheron se shikayat hai ujalon se
sada zaKHmon pe chamke hain bahut hi bad-gumani mein
sunae 'sarthi' kya dastan apni udasi ki
kahin chhalke na aankhon se lahu qissa-bayani mein

Ghazal
Ghamon ki oDhni oDhe khaDe hain zindagani mein
Monika Sharma Sarthi