ghamon ki duniya ko raund Dalen nashat-e-dil paemal kar len
nai mohabbat naya junun hai KHudaya kya apna haal kar len
jo chaar aanhken karo to jaanen nazar mila kar hanso to jaanen
qasam tumhaari agar na tum ko sharik-e-ranj-o-malal kar len
ajib arman ajib hasrat ajib KHwahish ajib wahshat
ki ban paDe to unhen bhi apni tarah sarapa malal kar len
wo ek lamha wo ek saat hua tha jab un se ahd-e-ulfat
use bhi kya ai KHuda-e-rahmat sharik-e-KHwab-o-KHayal kar len
Ghazal
Ghamon ki duniya ko raund Dalen nashat-e-dil paemal kar len
Moin Ahsan Jazbi