اردو हिंदी
Ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar | Shaahi Shayari
ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar

Ghazal

Ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar

Afzal Allahabadi

;

ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar
zamin pe rahte hain kuchh log aasman ban kar

uDe hain jo tere qadmon se KHak ke zarre
chamak rahe hain falak par wo kahkashan ban kar

jinhen nasib hui hai tere badan ki nasim
mahak rahe hain zamin par wo gulsitan ban kar

mein iztirab ke aalam mein raqs karta raha
kabhi ghubar ki surat kabhi dhuan ban kar

meri sadaon ko ab to panah mil jae
tujhe pukar raha hun teri zaban ban kar

main is zamin ki wusat pe sair karta hun
falak ke chand sitaron ka raaz-dan ban kar

masarraton ki faza mein sada wo rahte hain
jo gham ke maron se milte hain mehrban ban kar

unhin ko shan-e-chaman ye zamana kahta hai
chaman ko luT rahe hain jo baghban ban kar

main harf harf jise paDh chuka hun ai 'afzal'
waraq waraq pe wo bikhra hai dastan ban kar