ghamon ki dhup mein bargad ki chhanw jaisi hai
mere liye meri ham-shir maon jaisi hai
bhaTakta hun tu mujhe rasta dikhati hai
wo ham-safar hai magar rahnumaon jaisi hai
ho jaise ek hi kumbe ki sari aabaadi
faza hamare mohalle ki ganw jaisi hai
nae bashar ne musaKHKHar kiye mah-o-anjum
nae dimagh mein wusat KHalaon jaisi hai
haqiqaton ke muqabil Thahar nahin sakti
purani fikr bhi jhuTe KHudaon jaisi hai
KHala-nawardon ki manzil nahin paDaw hai
misal chand ki 'sipra' saraon jaisi hai
Ghazal
Ghamon ki dhup mein bargad ki chhanw jaisi hai
Tanveer Sipra