ghamon ki dhup kaDi dopahar se guzre hain
tamam umr jhulasti Dagar se guzre hain
hamari palkon se Tapke na kyun giran-KHwabi
faraaz-e-shab se tulu-e-sahar se guzre hain
ajib baat hai ghar ka nishan nahin milta
hazar bar unhi diwar-o-dar se guzre hain
kabhi sukun hai kabhi iztirab ka aalam
ajib kaifiyat-e-KHair-o-shar se guzre hain
bharosa kaun kare ab sada-e-sahra ka
misal-e-gard isi rahguzar se guzre hain
Ghazal
Ghamon ki dhup kaDi dopahar se guzre hain
Muhib Kausar