اردو हिंदी
Ghamon ki bhiD ne kuchla hai mujhko shadmani mein | Shaahi Shayari
ghamon ki bhiD ne kuchla hai mujhko shadmani mein

Ghazal

Ghamon ki bhiD ne kuchla hai mujhko shadmani mein

faiz jaunpuri

;

ghamon ki bhiD ne kuchla hai mujh ko shadmani mein
lagana chahta tha tishnagi ki aag pani mein

har ek shai uD gai meri hawaon ki rawani se
simaT ke rah gai KHwahish wafaon ki jawani mein

hamesha chashm mein rahna mujhe achchha nahin lagta
main rahna chahta hun ai samundar tere pani mein

teri basti ke mujre se teri auqat kya puchhun
gadhe bhi sher ban jate apni mezbani mein

main paDh kar hosh kho baiTha tere qisse ko ai furqat
mohabbat ka nasha hai is shab-e-gham ki kahani mein

wo pili oDhni wali abhi bhi dil mein rahti hai
ye laDka kho gaya hai us ke rang-e-zafrani mein

wo jis din 'faiz' aaegi meri chaukhaT pe milne ko
usi din moajiza hoga meri bhi zindagani mein