اردو हिंदी
Ghamon ke andheron mein gharqab hun main | Shaahi Shayari
ghamon ke andheron mein gharqab hun main

Ghazal

Ghamon ke andheron mein gharqab hun main

Parkash Tiwari

;

ghamon ke andheron mein gharqab hun main
amawas ka bikhra hua KHwab hun main

mere nam se hai zamane ko nafrat
ki pyale mein hasti ke zahrab hun main

jami hai umidon pe hirman ki kai
ki sahra ka ek KHushk talab hun main

qalam-band hain jis mein ruhon ke qisse
kitab-e-zamana ka wo bab hun main

paDa hai jo khai mein tarikiyon ki
muradon ka wo naKHl-e-shadab hun main

tujhe zist ki har KHushi ho mayassar
mera gham na kar shad-o-shadab hun main

taaruf mera kya hai puchho na 'parkash'
wafa nam hai aur nayab hun main