ghamgin hain dil-figar hain mere yahan ke log
daman-e-tar-tar hain mere yahan ke log
paida kiya hai jhuTe masihaon ne jise
us dard ke shikar hain mere yahan ke log
kya jaaniye hain kab se jigar soKHta magar
insan ke gham-gusar hain mere yahan ke log
gardan agarche KHam hai itaat ke bojh se
lekin harif-e-dar hain mere yahan ke log
'dauran' inhi ke zaKHm se phuTegi raushni
mana ki sogwar hain mere yahan ke log
Ghazal
Ghamgin hain dil-figar hain mere yahan ke log
Owais Ahmad Dauran