ghamgin be-maza baDi tanha udas hai
tere baghair to meri duniya udas hai
phaila hua hai raat ki aankhon mein soz-e-hijr
mahtab-rut mein chand ka chehra udas hai
lo phir se aa gaya hai judai ka marhala
aankhen hain nam meri tera lahja udas hai
barish baha ke le gai tinkon ka aashiyan
bhige shajar ki shaKH pe chiDiya udas hai
shahzada so gaya hai kahani sune baghair
bachpan ke taq mein rakhi guDiya udas hai
aankhen munDer par dhare guzri shab-e-visal
lipTa hua kalai se gajra udas hai
suraj lipaT ke jhil ke pani se ro diya
manzar firaq-e-sham ka kitna udas hai
kis ko hain ras hijr ki kaThnaiyan 'sahar'
jitna qarib ho koi utna udas hai
Ghazal
Ghamgin be-maza baDi tanha udas hai
Sidra Sahar Imran