gham-zada main bhi nahin aur ghamin tu bhi nahin
ab to paband-e-wafa main bhi nahin tu bhi nahin
main bhi uftada-e-andaza-e-tamanna-e-hayat
yani doshiza-e-firdaus-e-barin tu bhi nahin
ai shafaq-KHezi-e-ijmal-e-sahar sad-afsos
aks-e-tariki-e-shab-ha-e-hazin tu bhi nahin
main ki ham-zad-e-nashinan-e-harim-e-KHast
hae kashana-e-be-KHas ka makin tu bhi nahin
zinat-e-saya-e-diwar-e-makan mera guman
aur koi bhi nahin saya-nashin tu bhi nahin
ruh-e-paz-murda-e-taKHayyul lab-o-mushaf-e-naz
is udasi ka sabab mere tain tu bhi nahin
fitrat-e-gardish-e-alam-e-taghayyur se wara
KHugar-e-aish magar main bhi nahin tu bhi nahin
Ghazal
Gham-zada main bhi nahin aur ghamin tu bhi nahin
Hadis Salsal