اردو हिंदी
Gham-zada hum hain ye kahna chhoD do | Shaahi Shayari
gham-zada hum hain ye kahna chhoD do

Ghazal

Gham-zada hum hain ye kahna chhoD do

Kavita Kiran

;

gham-zada hum hain ye kahna chhoD do
ya hamare sath rahna chhoD do

chahiye gar zindagani ka maza
waqt ki lahron mein bahna chhoD do

shak karenge log ashkon par mere
is tarah aankhon mein rahna chhoD do

zabt-e-gham achchhi alamat hai magar
phir bhi tanhai mein rahna chhoD do

jitni mil jae KHushi lete raho
gham agar mushkil hai sahna chhoD do

dushmanon se kar lo samjhauta 'kiran'
doston ka zulm sahna chhoD do