gham ye nahin ki gham se mulaqat hui
gham hai ki rah-e-gham mein KHurafat ho gai
main ehtimam-e-majlis-e-adab mein raha
kyun log uTh gae hain ye kya baat ho gai
mahaul jab tamazat-e-KHurshid mein hua
rut jaane kyun badal gai barsat ho gai
wo waqia jo ruh ki gahraiyon mein tha
wo baat ab to nazr-e-hikayat ho gai
tanha thi meri sada-rawi su-e-zindagi
phir sath mere gardish-e-haalat ho gai
main fart-e-ehtiyat se guzra magar 'atiq'
us par nigah az-rah-e-adat ho gai
Ghazal
Gham ye nahin ki gham se mulaqat hui
Ateeq Asar