اردو हिंदी
Gham uThate hain wahi aksar KHushi pane ke baad | Shaahi Shayari
gham uThate hain wahi aksar KHushi pane ke baad

Ghazal

Gham uThate hain wahi aksar KHushi pane ke baad

Sharib Lakhnavi

;

gham uThate hain wahi aksar KHushi pane ke baad
jo KHizan ko bhul jate hain bahaar aane ke baad

zindagi yun kaT rahi hai un ke Thukrane ke baad
jaise ek mahfil ki haalat shama bujh jaane ke baad

ahl-e-kashti tum ko ye har mauj deti hai payam
paoge sahil magar tufan se Takrane ke baad

jo bhi pyasa aae us ki pyas bujhna chahiye
bandishen kaisi dar-e-mai-KHana khul jaane ke baad

jaise hum daur-e-jahaalat se bhi pichhe haT gae
aisi baaten kar rahe hain hosh mein aane ke baad

hoshiyar ai qafile walo ki aksar qafile
luT gae hain sarhad-e-manzil pe aa jaane ke baad

ai falak hum bhulte jate hain andaz-e-KHalil
hum pe angare bhi barsa phul barsane ke baad

saKHt hota hai shuur-e-zindagi ka imtihan
inqalab aane se pahle inqalab aane ke baad

inqilab-e-waqt ke shoalon mein baDh ke kud ja
zindagi milti hai parwane ko jal jaane ke baad

han taDapne ka bhi 'shaarib' ek saliqa chahiye
tau sahi duniya na taDpe hum ko taDpane ke baad