gham to tha phir bhi be-shumar na tha
neza sine ke aar-par na tha
mere girne pe kyun hai istiajab
main to waise bhi shahsawar na tha
wo jo phirta tha le ke sher ki khaal
us ka mara hua shikar na tha
kaise rishte hain us ki maut ke baad
KHun KHud us ka sogwar na tha
hum bhi sairab ho chuke hote
matl-e-baKHt abr-bar na tha
saKHt-jaani rahi bahana hai
tera KHanjar hi aab-dar na tha
main lada tha chala wo chal na saka
us pe haalanki koi haar na tha
Ghazal
Gham to tha phir bhi be-shumar na tha
Ashfaq Rehbar