اردو हिंदी
Gham tera jalwa-gah-e-kaun-o-makan hai ki jo tha | Shaahi Shayari
gham tera jalwa-gah-e-kaun-o-makan hai ki jo tha

Ghazal

Gham tera jalwa-gah-e-kaun-o-makan hai ki jo tha

Firaq Gorakhpuri

;

gham tera jalwa-gah-e-kaun-o-makan hai ki jo tha
yani insan wahi shoala-ba-jaan hai ki jo tha

phir wahi rang-e-takallum nigah-e-naz mein hai
wahi andaz wahi husn-e-bayan hai ki jo tha

kab hai inkar tere lutf-o-karam se lekin
tu wahi dushman-e-dil dushman-e-jaan hai ki jo tha

ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut
wahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha

qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin
aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha

nazar aa jate hain tum ko to bahut nazuk baal
dil mera kya wahi ai shisha-giran hai ki jo tha

jaan de baiThe the ek bar hawas wale bhi
phir wahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha

husn ko khinch to leta hai abhi tak lekin
wo asar jazb-e-mohabbat mein kahan hai ki jo tha

aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffak
liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha

phir teri chashm-e-suKHan-sanj ne chheDi koi baat
wahi jadu hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha

phir sar-e-mai-kada-e-ishq hai ek barish-e-nur
chhalke jamon se charaghan ka saman hai ki jo tha

phir wahi KHair-nigahi hai tere jalwon se
wahi aalam tera ai barq-e-daman hai ki jo tha

aaj bhi aag dabi hai dil-e-insan mein 'firaq'
aaj bhi sinon se uThta wo dhuan hai ki jo tha