gham tera mujhe jaan se guzarne nahin deta
marna bhi agar chahun to marne nahin deta
ek bund bhi payab nazar aati hai ab to
ye Dar mujhe dariya mein utarne nahin deta
haalat pe mauquf nahin apni tabahi
qismat ka likha bhi to sanwarne nahin deta
phulon se wo har subh uDa leta hai surKHi
be-rang kali ko bhi nikharne nahin deta
marham jise samjha tha zamane ki nazar ne
bharte hue zaKHmon ko bhi bharne nahin deta
har rah ko wo sanp ki manind hai ghere
wo rahguzar se bhi guzarne nahin deta
'imrran' main ek umr se patthar ki tarah hun
KHushbu ki tarah mujh ko bikharne nahin deta
Ghazal
Gham tera mujhe jaan se guzarne nahin deta
All Imran