gham se kahin najat mile chain paen hum
dil KHun mein nahae to ganga nahaen hum
jannat mein jaen hum ki jahannam mein jaen hum
mil jae to kahin na kahin tujh ko paen hum
jauf-e-falak mein KHak bhi lazzat nahin rahi
ji chahta hai teri jafaen uThaen hum
Dar hai na bhul jae wo saffak roz-e-hashr
duniya mein likhte jate hain apni KHataen hum
mumkin hai ye ki wade par apne wo aa bhi jae
mushkil ye hai ki aap mein us waqt aaen hum
naraaz ho KHuda to karen bandagi se KHush
mashuq ruTh jae to kyunkar manaen hum
sar doston ka kaT ke rakhte hain samne
ghairon se puchhte hain qasam kis ki khaen hum
kitna tera mizaj KHushamad-pasand hai
kab tak karen KHuda ke liye iltijaen hum
lalach abas hai dil ka tumhein waqt-e-wapsin
ye mal wo nahin ki jise chhoD jaen hum
saunpa tumhein KHuda ko chale hum to na-murad
kuchh paDh ke baKHshna jo kabhi yaad aaen hum
soz-e-darun se apne sharar ban gae hain ashk
kyun aah-e-sard ko na patinge lagaen hum
ye jaan tum na loge agar aap jaegi
us bewafa ki KHair kahan tak manaen hum
ham-sae jagte rahe nalon se raat bhar
soe hue nasib ko kyunkar jagaen hum
jalwa dikha raha hai wo aaina-e-jamal
aati hai hum ko sharm ki kya munh dikhaen hum
mano kaha jafa na karo tum wafa ke baad
aisa na ho ki pher len ulTi duaen hum
dushman se milte julte hain KHatir se dosti
kya faeda jo dost ko dushman banaen hum
tu bhulne ki chiz nahin KHub yaad rakh
ai 'dagh' kis tarah tujhe dil se bhulaen hum
Ghazal
Gham se kahin najat mile chain paen hum
Dagh Dehlvi