gham se kahan ai ishq mafar hai
raat kaTi to subh ka Dar hai
tark-e-wafa ko muddat guzri
aaj bhi lekin dil pe asar hai
aaine mein jo dekh rahe hain
ye bhi hamara husn-e-nazar hai
gham ko KHushi ki surat baKHshi
is ka bhi sehra aap ke sar hai
lakh hain un ke jalwe jalwe
meri nazar phir meri nazar hai
tum hi samajh lo tum ho masiha
main kya jaanun dard kidhar hai
phir bhi 'shakil' is daur mein pyare
sahab-e-fan hai ahl-e-hunar hai
Ghazal
Gham se kahan ai ishq mafar hai
Shakeel Badayuni