اردو हिंदी
Gham se bhige hue naghmat kahan se laun | Shaahi Shayari
gham se bhige hue naghmat kahan se laun

Ghazal

Gham se bhige hue naghmat kahan se laun

Shevan Bijnauri

;

gham se bhige hue naghmat kahan se laun
dard mein Dubi hui baat kahan se laun

jin mein yaadon ko teri jhonk dun jalne ke liye
wo sulagte hue din raat kahan se laun

jo pasand aae tujhe KHun-e-jigar ke badle
sone chandi ki wo saughat kahan se laun

dil bhi tishna hai meri ruh bhi tishna hai magar
tere jalwon ki wo barsat kahan se laun

tere wade jo tujhe yaad dilaen zalim
hae mazi ke wo lamhat kahan se laun

jab mere bhag mein tanhai ka andhiyara hai
phir bhala prem ki parbhat kahan se laun

dil mera rota hai tanhai mein pahron 'shewan'
wo buzurgon ki hidayat kahan se laun