gham sahte sahte muddat tak aisi bhi haalat hoti hai
aankhon mein ashk umaDte hain rone se nafrat hoti hai
jab raat ka sannaTa hota hai dil mein KHalwat hoti hai
tum chandni jaise chhiTka do aisi kaifiyyat hoti hai
aalam par jaise chhae hon mahbub ki god mein aae hon
ab dil ki mohabbat mein aksar aisi mahwiyyat hoti hai
jab hasrat-o-arman miT jaen kuchh aas na ho kuchh yas na ho
jab maut ki nind aae dil ko bedar mohabbat hoti hai
jab ranj zamana deta hai hum maut ko dawat dete hain
phir tum kyun yaad aa jate ho jine ko tabiat hoti hai
meraj-e-junun ke raste mein aisa bhi maqam ek aata hai
hum hosh mein hote hain lekin apne se bhi wahshat hoti hai
be-dad ki bhi us zalim ko wo pyari adaen aati hain
mar mar ke jiye jaane ko 'jigar' afsos tabiat hoti hai
Ghazal
Gham sahte sahte muddat tak aisi bhi haalat hoti hai
Jigar Barelvi