gham sahte hain par ghamza-e-beja nahin uThta
marte hain magar naz-e-masiha nahin uThta
kab pan raqibon ko inayat nahin hote
kis roz mere qatl ka beDa nahin uThta
bal paDte hain pahonche mein lachakti hai kalai
nazuk hain bahut phulon ka gajra nahin uThta
farmaiye irshad pahaDon ko uTha lun
par rashk ka sadma nahin uThta nahin uThta
kuche mein 'munir' un ke main baiTha to wo bole
hai hai mere darwaze se pahra nahin uThta
Ghazal
Gham sahte hain par ghamza-e-beja nahin uThta
Muneer Shikohabadi