gham raat-din rahe to KHushi bhi kabhi rahi
ek bewafa se apni baDi dosti rahi
un se milan ki sham ghaDi do-ghaDi rahi
aur phir jo raat aai to barson khaDi rahi
sham-e-visal-e-dard ne jate hue kaha
kal phir milenge dost agar zindagi rahi
basti ujaD gai bhi to kikar hare rahe
dar-band ho gae bhi to khiDki khuli rahi
'aKHtar' agarche chaaron taraf tez dhup thi
dil par KHayal-e-yar ki shabnam paDi rahi
Ghazal
Gham raat-din rahe to KHushi bhi kabhi rahi
Saeed Akhtar