gham par hain tana-zan to KHushi bhi nibhaiye
sarkar meri baada-kashi bhi nibhaiye
moti se ashk aap ke qadmon ko the aziz
sukhe hue labon ki hansi bhi nibhaiye
pahle to mauj-e-gul thi mere har KHayal mein
ab fikr ki ye shoala-rawi bhi nibhaiye
ye kya ki aap sirf parastish karen qubul
mabud-e-shahr meri KHudi bhi nibhaiye
be-shak huzur saqi-e-bazm-e-bahaar hain
lekin KHud apni tishna-labi bhi nibhaiye
han in hasin aaankhon mein raqsan hai zindagi
palkon ki ho sake to nami bhi nibhaiye
shahzad-gan-e-mumlikat-e-husn ke tufail
hum shairon ki kaj-kulahi bhi nibhaiye
Ghazal
Gham par hain tana-zan to KHushi bhi nibhaiye
Salam Machhli shahri