gham-o-surur zamane pe kargar kya hai
bahut base bahut ujDe magar asar kya hai
main chalta jata hun tahlil hota jata hun
kaDakti dhup mein shabnam ka ye safar kya hai
zamin hun to KHazane kahan gae mere
daraKHt hun to meri shaKH ka samar kya hai
hazar aainon mein jaise ek kiran mahbus
nazar hi kya hai meri nuqta-e-nazar kya hai
wo aag hai ki jo uDta hai jal ke girta hai
faza ka rog hai taqsir-e-baal-o-par kya hai
Ghazal
Gham-o-surur zamane pe kargar kya hai
Khursheed Rizvi