gham-o-KHushi ke agar silsile nahin chalte
to mere sath kabhi hausle nahin chalte
ana ke peD pe khilte nahin KHulus ke phul
zidon ke sath kabhi faisle nahin chalte
bas ek nigah pe umren nisar hoti hain
mohabbaton ke kabhi silsile nahin chalte
hamare qadmon mein rahte hain raste lekin
hamare sath kabhi marhale nahin chalte
har ek shaKHs yahan mir-e-karwan KHud hai
isi liye to yahan qafile nahin chalte
Ghazal
Gham-o-KHushi ke agar silsile nahin chalte
Nadeem Farrukh