gham ne bandha hai mere ji pe khala hae khala
phir nae sir seti aai hai bala hae bala
ai gul-e-gulshan-e-jaan kar mujhe yak-bar nihaal
KHar hasrat ka kaleje mein sala hae sala
dekh sakta nahin main gul kun har yak KHar ke sath
apne ham-rah raqibon kun na la hae na la
zabh karne mein mere rahm na laya us ne
balki itna bhi kaha nen ki gala hae gala
jis ne khaya hai tere abru-e-KHun-rez ka zaKHm
murgh-e-bismil sa lahu bich rala hae rala
jaan-e-jaanan kun mere pas shitabi lao
nin to yak pal mein mera jaan chala hae chala
be-tarah ab to birah aag dahakti hai 'siraj'
dil mera kyun na pukare ki jala hae jala
Ghazal
Gham ne bandha hai mere ji pe khala hae khala
Siraj Aurangabadi

