gham-nasibon ko kisi ne to pukara hoga
is bhari bazm mein koi to hamara hoga
aaj kis yaad se chamki teri chashm-e-pur-nam
jaane ye kis ke muqaddar ka sitara hoga
jaane ab husn luTaega kahan daulat-e-dard
jaane ab kis ko gham-e-ishq ka yara hoga
tere chhupne se chhupengi na hamari yaaden
tu jahan hoga wahin zikr hamara hoga
yun judai to gawara thi ye malum na tha
tujh se yun mil ke bichhaDna bhi gawara hoga
chhoD kar aae the jab shahr-e-tamanna hum log
muddaton rah-guzaron ne pukara hoga
ek tufan mein qarib aa gai apni manzil
hum samajhte the bahut dur kinara hoga
muskuraata hai to ek aah nikal jati hai
ye 'tabassum' bhi koi dard ka mara hoga
Ghazal
Gham-nasibon ko kisi ne to pukara hoga
Sufi Tabassum