gham nairang dikhata hai hasti ki jalwa-numai ka
kitne zamanon ka hasil hai ek lamha tanhai ka
tere nazuk lab hain goya mausam ka mauzu-e-suKHan
gulshan gulshan shohra hai shadabi ka ranai ka
apne gham ki fikr na ki is duniya ki gham-KHwari mein
barson hum ne dast-e-junun se kaam liya danai ka
aalam ke har manzar ko kuchh rang nae mil jate hain
kirnen subh ki le jati hain rup teri angDai ka
sahil o tufan ke afsane rang-e-haqiqat kya denge
Dub ke ubhro to irfan ho dariya ki gahrai ka
dil mein 'kausar' aae kitne daur taghayyur ke lekin
naqsh-e-tamanna par jab dekho aalam hai barnai ka
Ghazal
Gham nairang dikhata hai hasti ki jalwa-numai ka
Kausar Jayasi